Kuch ruki si hai jindagi…
Kuch thami si hai saanse…
Kuch khamosh se hai kadam…
Kuch thehri si hai lehren…
Kuch murjhaye hue se hai phul…
Kuch sehmi si hai hawaeen…
Kahin, kuch gungunate the lamhe..
Kahin, kuch muskurate the aainee..
Shayad…. Aaj main aajad hoon…
Hawa ke jhonko ki tarah,…
Udte panchiyon ki tarah..
Samundar ki lehron ki tarah…
Gehri si nadi ke bahav ki tarah…
Haan… aaj me aajad hoon…
Khwaishon se bhari, nigahoon ki tarah…