Main khamosh hoon
Par teri tanhaiye se baatein kar leta hoon
Main khamosh hoon
Par teri jhothi muskurahat se ru ba ru ho leta hoon
Main khamosh hoon
Par tere chehre ki silvaton se qatla ho leta hoon
Main khamosh hoon
Par tere khwabon ki udaan me apne aap ko mehsoos kar leta hoon
Main khamosh hoon
Par teri karvaton se uljhi teri chadar par apne aap ko mehsoos kar leta hoon
Main khamosh hoon
Waqt ke saaye me ek ajib si kashish hai
Tere ask me savanre labz me ek ajib si khalish hai
Tu rooth kar bhi rooth na payee
Main bhool kar bhi bhoola na paaya
Ab ye khamoshiyan kab tak dastak degi …
Aaj .. main khamosh hoon
Aur tu adhuri …
© bhargav
15 June 2015 09.37 am

No comments:
Post a Comment
inspirations