Pages

Monday, February 20, 2012

Main… tumhe bhul nahin sakta..


Main… tumhe bhul nahin sakta, saayad tumhe bhulana nahin chahta..
Gehri neend se jagi aankhon ki palkon par ye boond si saji khwaish hai saayad..

Har pal, har ghadi.. sirf tumhara intejaar rehta hai..
Door ho kar bhi, har pal ek ehsaas sa rehta hai..
Jab bhi saans leta hoon, mahek tumhari saath rehti hai..,
“ tumhari hi khusbu yun kyun satati hai…
Dhadkan bhi sirf tumhe kyun dhadkti hai..
Subah jab aankhen khulti hai, sirf tumhara chehra dikhta hai..
Shaam dhalne par chand bhi tujh jaisa dikhta hai…
Raat ki khamoshi me, tumhari hi kehkahi kyun satati hai..”

Haan, main tumhe bhul nahin sakta..
Kyunki,.. saayad tumhe bhulana nahin chahta..

Subah ke sitare..
Dhoop ke kinare..
Raat ke saaye ..
Patton ki sarsarahat..
Nadiya ki ret..
Jharno ki aawaj..
Har pal, har ghadi tumhari hi yaad dilate hai..
Khamosh labson me tumhari  hi aawaj gunjti hai..
Pholon ki khusbu me tumhari hi muskurahat mehkti hai..


Meri aakhri saanse
Aaj tujhe hi pukar rahi hai..
Aane waale kai janmon tak…ye pukarti rahegi.

Haan,  main tumhe bhula nahin sakta..
Kyunki,.. saayad tumhe bhulana nahin chahta..


2 comments:

  1. touchy piece indeed... would have been better to be able to read it in hindi letters itself :)

    ReplyDelete

inspirations

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...