Fir tere seher se gujarne ki khwaish hai…
Fir tere rukh se parda uthane ki khwaish hai…
Kahin soya tha lapete apni chadar ko…
samete tere jazbatton ko…
kahin khoya tha bairan kinaron pe
Samete there khayalon ki parchaiyon ko…
Tujhe bhulane ki nakaam kosish karte aaya hoon…
Khudko mitane ke wajah khudko puchte aaya hoon..
Tere pyaar ki gehraion ne kuch is tarah uljhaya hai mujhe
Ke aaj bhi dhundhta hoon apne iradoon ki sehnaiyoon ko…
Mausam ne aaj fir se karvat li hai..
In barsaton me tujhe fir se milne ki khawish ki hai
Wadiyon me lehrati teri khusbu ko fir se apni sanson me bhar loon...
Teri hi kashish hai, teri hi tapish hai..
Fir tere seher se gujarne ki khwaish hai…
Fir tere rukh se parda uthane ki khwaish hai…
"""Afsane bayaan nahin hote kuch alfazon se
Ye woh mausam hai jo jiye jaate hai..
Is rooh ki tapis ne ab hoslon ko buland kar diya hai
Chalo, fir se likhte hai ..... jammen aur aasman ko
bas.... itni si to khwaish hai.... """"
No comments:
Post a Comment
inspirations