Pages

Monday, May 9, 2011

dastaan e khamoshi

faasle kitne bhi ho, dil ab bhi dhadakte hai…



aaj bhi teri guftagu hai


aaj bhi teri aarjoo hai…






Na rulati hai, na satati hai, ab teri yeh khamoshi..


woh pal kitna bechain tha, jab tu pass nahin thi,…


yeh pal bhi kitna bechain hai jab tu pass hai, mere khayalon me…






teri hi kasis thi, ke hum khinche chale aaye…


mukarar maut ko taal aaye…






tujshe milne ki , lakiren thi mere hathon me…


dosti jo karni thi… sahraa se






tere diye gam ko aaj bhi sarahte hai…


tujhe bewafa nahin samjte hum…


saayad hum hi nahin samaj paaye,… wafaa ke mayne






sirf ye gujaris hai…






“ dil ko cheej samaj kar , na khela karo mere yaaron…


Ke hoslon ne , ab bhi daaman sajaye rakhaa hai…”

3 comments:

inspirations

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...